निदा फ़ाज़ली | Nida Fazli — अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाए | apna gham leke kaheen aur na jaaya jaaye

Translation: Turn On

अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाए
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाए

apna gham leke kaheen aur na jaaya jaaye
ghar mein bikhri hui cheezon ko sajaaya jaaye

जिन चराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चराग़ों को हवाओं से बचाया जाए

jin charaaghon ko havaaon ka koyi khauf nahin
un charaaghon ko havaaon se bachaaya jaaye

क्या हुआ शहर को कुछ भी तो दिखाई दे कहीं
यूँ किया जाए कभी ख़ुद को रुलाया जाए

kya hua shehar ko kuchh bhi to dikhaai de kahin
yoon kiya jaaye kabhi khud ko rulaaya jaaye

बाग़ में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाए

baagh mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titli ko na phoolon se udaaya jaaye

ख़ुदकुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन अभी औरों को सताया जाए

khudkushi karne ki himmat naheen hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataaya jaaye

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए

ghar se masjid hai bahut door chalo yoon kar lein
kisi rote huye bachche ko hansaaya jaaye

Posted: 06-Dec-2020

Leave a comment