फ़ैज़ अहमद फ़ैज़ | Faiz Ahmed Faiz — मुझसे पहली-सी मोहब्बत मेरी महबूब न माँग | mujhse pehli-si mohabbat meri mehboob na maang

मुझसे पहली-सी मोहब्बत मेरी महबूब न माँग

mujhse pehli-si mohabbat meri mehboob na maang


मैंने समझा था कि तू है तो दरख़्शाँ है हयात
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रक्खा क्या है
तू जो मिल जाए तो तक़्दीर निगूँ हो जाए
यूँ न था मैंने फ़क़त चाहा था कि यूँ हो जाए

mainne samjha tha ki tu hai to darakshaan hai hayaat
tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagda kya hai
teri soorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai
tu jo mil jaaye to taqdeer nigoon ho jaaye
yoon na tha mainne faqat chaaha tha ki yoon ho jaaye


और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा

aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke siva


अनगिनत सदियों के तारीक बहीमाना तिलिस्म
रेशम-ओ-अतलस-ओ-कमख़्वाब में बुनवाए हुए
जा-ब-जा बिकते हुए कूचा-ओ-बाज़ार में जिस्म
ख़ाक में लिथड़े हुए ख़ून में नहलाए हुए
जिस्म निकले हुए अमराज़ के तन्नूरों से
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे

anginat sadiyon ke tareek bahimaana tilism
resham-o-atlas-o-kamkhvaab mein bunwaaye huye
jaa-ba-jaa bikte huye koocha-o-baazar mein jism
khaak mein lithde huye khoon mein nahlaaye hue
jism nikle huye amraaz ke tannooron se
peep behti huyi galte huye naasooron se
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya keeje
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya keeje


और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा

aur bhi dukh hain zamaane mein mohabbat ke siva
raahaten aur bhi hain vasl ki raahat ke siva


मुझसे पहली-सी मोहब्बत मेरी महबूब न माँग

mujhse pehli-si mohabbat meri mehboob na maang

Posted: 8-Dec-2020

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s