Translation: Turn On
दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लरज़ाँ हैं
तेरी आवाज़ के साये तेरे होंठों के सराब
दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स-ओ-ख़ाक तले
खिल रहे हैं तेरे पहलू के समन और गुलाब
dasht-e-tanhaai mein ae jaan-e-jahaan larzaan hain
teri awaaz ke saaye tere honthon ke saraab
dasht-e-tanhaai mein doori ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तेरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम-मद्धम
दूर उफ़क़ पर चमकती हुई क़तरा-क़तरा
गिर रही है तेरी दिलदार नज़र की शबनम
uth rahee hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
apni khushbu mein sulagti huyi maddham-maddham
door ufaq par chamkati huyi qatra-qatra
gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़सार पे इस वक़्त तेरी याद ने हाथ
यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात
is qadar pyar se ae jaan-e-jahaan rakkha hai
dil ke rukhsar pe is vaqt teri yaad ne haath
yoon gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gayi vasl ki raat
—
Posted: 8-Dec-2020