मुद्दत हुई है यार को मेहमाँ किए हुए
जोश-ए-क़दह से बज़्म चराग़ाँ किए हुए
muddat huyi hai yaar ko mehmaan kiye huye
josh-e-qadah se bazm charaaghan kiye huye
–
बाहम-दिगर हुए हैं दिल-ओ-दीदा फिर रक़ीब
नज़्ज़ारा-ओ-ख़याल का सामाँ किए हुए
baaham-digar huye hain dil-o-deeda phir raqeeb
nazzaara-o-khayaal ka saamaan kiye huye
–
फिर शौक़ कर रहा है ख़रीदार की तलब
अर्ज़-ए-मता-ए-अक़्ल-ओ-दिल-ओ-जाँ किए हुए
phir shauq kar raha hai khareedaar ki talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaan kiye huye
–
फिर जी में है कि दर पे किसीके पड़े रहें
सर ज़ेर-बार-ए-मिन्नत-ए-दरबाँ किए हुए
phir ji mein hai ki dar pe kiseeke pade rahen
sar zer-baar-e-minnat-e-darbaan kiye huye
–
जी ढूँढ़ता है फिर वही फ़ुर्सत कि रात-दिन
बैठे रहें तसव्वुर-ए-जानाँ किए हुए
ji dhoondhta hai phir vahi fursat ki raat-din
baithe rahen tasavvur-e-jaanan kiye huye
–
‘ग़ालिब’ हमें न छेड़ कि फिर जोश-ए-अश्क से
बैठे हैं हम तहिया-ए-तूफ़ाँ किए हुए
‘Ghalib’ hamen na chhed ki phir josh-e-ashk se
baithe hain hum tahiya-e-toofaan kiye huye
—
Posted: 09-Dec-2020