तुम चली जाओगी परछाँइयाँ रह जाएँगी
कुछ न कुछ हुस्न की रानाइयाँ रह जाएँगी
tum chali jaogi parchhaiyaan reh jaayengi
kuchh na kuchh husn ki raanaaiyan reh jaayengi
तुम कि इस झील के साहिल पे मिली हो मुझसे
जब भी देखूँगा यहीं मुझको नज़र आओगी
याद मिटती है न मंज़र कोई मिट सकता है
दूर जाकर भी तुम अपने को यहीं पाओगी
tum ki is jheel ke saahil pe mili ho mujhse
jab bhi dekhoonga yaheen mujhko nazar aaogi
yaad mitati hai na manzar koi mit sakta hai
door jaakar bhi tum apne ko yaheen paaogi
घुलके रह जाएगी झोंकों में बदन की ख़ुशबू
ज़ुल्फ़ का अक्स घटाओं में रहेगा सदियों
फूल चुपके-से चुरा लेंगे लबों की सुर्ख़ी
ये जवाँ हुस्न फ़ज़ाओं में रहेगा सदियों
ghulke reh jaayegi jhonkon mein badan ki khushbu
zulf ka aks ghataaon mein rahega sadiyon
phool chupke-se chura lenge labon ki surkhi
ye javaan husn fazaaon mein rahega sadiyon
इस धड़कती हुई शादाब-ओ-हसीं वादी में
ये न समझो कि ज़रा देर का क़िस्सा हो तुम
अब हमेशा के लिए मेरे मुक़द्दर की तरह
इन नज़ारों के मुक़द्दर का भी हिस्सा हो तुम
is dhadakti huyi shaadaab-o-haseen vaadi mein
ye na samjho ki zara der ka qissa ho tum
ab hamesha ke liye mere muqaddar ki tarah
in nazaaron ke muqaddar ka bhi hissa ho tum
तुम चली जाओगी परछाँइयाँ रह जाएँगी
कुछ न कुछ हुस्न की रानाइयाँ रह जाएँगी
tum chali jaogi parchhaiyaan reh jaayengi
kuchh na kuchh husn ki raanaaiyan reh jaayengi
—
Posted: 9-Dec-2020