जाँनिसार अख़्तर | Jan Nisar Akhtar — अशआर मेरे यूँ तो ज़माने के लिये हैं | ash’aar mere yoon to zamaane ke liye hain

अशआर मेरे यूँ तो ज़माने के लिये हैं
कुछ शेर फ़क़त उनको सुनाने के लिये हैं

ash’aar mere yoon to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unko sunaane ke liye hain

अब ये भी नहीं ठीक कि हर दर्द मिटा दें
कुछ दर्द कलेजे से लगाने के लिये हैं

ab ye bhi naheen theek ki har dard mitaa den
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain

सोचो तो बड़ी चीज़ है तहज़ीब बदन की
वर्ना तो बदन आग बुझाने के लिये हैं

socho to badi cheez hai tehzeeb badan ki
varna to badan aag bujhaane ke liye hain

आँखों में जो भर लोगे तो काँटों-से चुभेंगे
ये ख़्वाब तो पलकों पे सजाने के लिये हैं

aankhon mein jo bhar loge to kaanton-se chubhenge
ye khvaab to palkon pe sajaane ke liye hain

देखूँ तेरे हाथों को तो लगता है तेरे हाथ
मंदिर में फ़क़त दीप जलाने के लिये हैं

dekhoon tere hatahon ko to lagta hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

ये इल्म का सौदा ये रिसाले ये किताबें
एक शख़्स की यादों को भुलाने के लिये हैं

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaaben
ek shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

Posted: 11-Dec-2020

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s