साहिर लुधियानवी | Sahir Ludhianvi — मेरी महबूब कहीं और मिला कर मुझसे (ताजमहल) | meri mehboob kaheen aur mila kar mujhse (taj mahal)

Translation: Turn On

ताज तेरे लिए एक मज़हर-ए-उल्फ़त ही सही
तुझको इस वादी-ए-रंगीं से अक़ीदत ही सही
मेरी महबूब कहीं और मिला कर मुझसे

taaj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi
tujhko is vaadi-e-rangeen se aqeedat hi sahi
meri mehboob kaheen aur mila kar mujhse


मेरी महबूब कहीं और मिला कर मुझसे
बज़्म-ए-शाही में ग़रीबों का गुज़र क्या मानी
सब्त जिस राह में हों सतवत-ए-शाही के निशाँ
उसपे उल्फ़तभरी रूहों का सफ़र क्या मानी

meri mehboob kaheen aur mila kar mujhse
bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya maani
sabt jis raah mein hon satvat-e-shahi ke nishaan
uspe ulfat-bhari roohon ka safar kya maani


मेरी महबूब पस-ए-पर्दा-ए-तश्हीर-ए-वफ़ा
तूने सतवत के निशानों को तो देखा होता
मुर्दा शाहों के मक़ाबिर से बहलनेवाली
अपने तारीक मकानों को तो देखा होता

meri mehboob pas-e-parda-e-tashheer-e-vafa
toone satvat ke nishaanon ko to dekha hota
murdaa shaahon ke maqaabir se bahalnewali
apne tareek makaanon ko to dekha hota


अनगिनत लोगों ने दुनिया में मोहब्बत की है
कौन कहता है कि सादिक़ न थे जज़्बे उनके
लेकिन उनके लिए तश्हीर का सामान नहीं
क्योंकि वो लोग भी अपनी ही तरह मुफ़्लिस थे

anginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
kaun kehta hai ki saadiq na the jazbe unke
lekin unke liye tash’heer ka saaman naheen
kyonki vo log bhi apni-hi tarah muflis the


ये इमारात-ओ-मक़ाबिर ये फ़सीलें ये हिसार
मुतलक़-उल-हुक्म शहंशाहों की अज़्मत के सुतून
दामन-ए-दहर पर उस रंग की गुलकारी है
जिसमें शामिल है तेरे और मेरे अजदाद का ख़ून

ye imaaraat-o-maqaabir ye faseelen ye hisaar
mutlaq-ul-hukm shahenshaahon ki azmat ke sutoon
daaman-e-dahar par us rang ki gulkaari hai
jismein shaamil hai tere aur mere ajdaad kaa khoon


मेरी महबूब उन्हें भी तो मोहब्बत होगी
जिनकी सन्नाई ने बख़्शी है उसे शक्ल-ए-जमील
उनके प्यारों के मक़ाबिर रहे बेनाम-ओ-नुमूद
आजतक उनपे जलाई न किसी ने क़ंदील

meri mehboob unhein bhi to mohabbat hogi
jinki sannaai ne bakhshi hai use shakl-e-jameel
unke pyaaron ke maqaabir rahe benaam-o-numood
aajtak unpe jalaayi na kiseene qandeel


ये चमनज़ार ये जमुना का किनारा ये महल
ये मुनक़्क़श दर-ओ-दीवार ये मेहराब ये ताक़
एक शहंशाह ने दौलत का सहारा लेकर
हम ग़रीबों की मोहब्बत का उड़ाया है मज़ाक़

ye chamanzaar ye jamuna ka kinaara ye mahal
ye munaqqash dar-o-deewar ye mehraab ye taaq
ek shahenshaah ne daulat ka sahaara lekar
hum ghareebon ki mohabbat ka udaaya hai mazaaq


मेरी महबूब कहीं और मिला कर मुझसे

meri mehboob kaheen aur mila kar mujhse

Posted: 13-Dec-2020

One thought on “साहिर लुधियानवी | Sahir Ludhianvi — मेरी महबूब कहीं और मिला कर मुझसे (ताजमहल) | meri mehboob kaheen aur mila kar mujhse (taj mahal)

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s