Translation: Turn On
उसने सुकूत-ए-शब में भी अपना पयाम रख दिया
हिज्र की रात बाम पर माह-ए-तमाम रख दिया
usne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
hijr ki raat baam par maah-e-tamam rakh diya
–
आमद-ए-दोस्त की नवेद कू-ए-वफ़ा में गर्म थी
मैंने भी एक चराग़-सा दिल सर-ए-शाम रख दिया
aamad-e-dost ki naved ku-e-vafa mein garm thi
mainne bhi ek charaagh-sa dil sar-e-shaam rakh diya
–
शिद्दत-ए-तिश्नगी में भी ग़ैरत-ए-मैकशी रही
उसने जो फेर ली नज़र मैंने भी जाम रख दिया
shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
usne jo pher li nazar mainne bhi jaam rakh diya
–
उसने नज़र-नज़र में ही ऐसे भले सुख़न कहे
मैंने तो उसके पाँव में सारा कलाम रख दिया
usne nazar-nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
mainne to uske paanv mein saara kalaam rakh diya
–
देखो ये मेरे ख़्वाब थे देखो ये मेरे ज़ख़्म हैं
मैं ने तो सब हिसाब-ए-जाँ बर सर-ए-आम रख दिया
dekho ye mere khvaab the dekho ye mere zakhm hain
mainne to sab hisaab-e-jaan bar sar-e-aam rakh diya
–
और ‘फ़राज़’ चाहिए कितनी मोहब्बतें तुझे
माँओं ने तेरे नाम पर बच्चों का नाम रख दिया
aur ‘Faraz’ chaahiye kitni mohabbatein tujhe
maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya
—
Posted: 17-Dec-2020