अबके हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें
abke hum bichhde to shaayad kabhi khvaabon mein milein
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein milein
–
ढूँढ़ उजड़े हुए लोगों में वफ़ा के मोती
ये ख़ज़ाने तुझे मुमकिन है ख़राबों में मिलें
dhoondh ujde huye logon mein vafa ke moti
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milein
–
ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon mein milein
–
तू ख़ुदा है न मेरा इश्क़ फ़रिश्तों जैसा
दोनों इन्साँ हैं तो क्यों इतने हिजाबों में मिलें
tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insaan hain to kyon itne hijaabon mein milein
–
आज हम दार पे खींचे गए जिन बातों पर
क्या अजब कल वो ज़माने को निसाबों में मिलें
aaj hum daar pe kheenche gaye jin baaton par
kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon mein milein
–
अब न वो मैं न वो तू है न वो माज़ी है ‘फ़राज़’
जैसे दो शख़्स तमन्ना के सराबों में मिलें
ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai ‘Faraz’
jaise do shakhs tamanna ke saraabon mein milein
—
Posted: 23-Jan-2021