मीर तक़ी मीर | Meer Taqi Meer — यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ | yaaro mujhe mu’aaf rakho main nashe mein hoon

Translation: Turn On

यारो मुझे मुआफ़ रखो मैं नशे में हूँ
अब दो तो जाम ख़ाली ही दो मैं नशे में हूँ

yaaro mujhe mu’aaf rakho main nashe mein hoon
ab do to jaam khaali hi do main nashe mein hoon

एक-एक क़ुर्त दौर में यूँही मुझे भी दो
जाम-ए-शराब पुर न करो मैं नशे में हूँ

ek-ek qurt daur mein yoon-hi mujhe bhi do
jaam-e-sharab pur na karo main nashe mein hoon

मस्ती से दरहमी है मेरी गुफ़्तगू के बीच
जो चाहो तुम भी मुझको कहो मैं नशे में हूँ

masti se darhami hai meri guftagu ke beech
jo chaaho tum bhi mujhko kaho main nashe mein hoon

या हाथों-हाथ लो मुझे मानिंद-ए-जाम-ए-मय
या थोड़ी दूर साथ चलो मैं नशे में हूँ

ya haathon-haath lo mujhe maanind-e-jaam-e-ma’y
ya thodi door saath chalo main nashe mein hoon

माज़ूर हूँ जो पाँव मेरा बेतरह पड़े
तुम सरगिराँ तो मुझसे न हो मैं नशे में हूँ

maazoor hoon jo paanv mera betarah pade
tum sargiraan to mujhse na ho main nashe mein hoon

भागी नमाज़-ए-जुम’आ तो जाती नहीं है कुछ
चलता हूँ मैं भी टुक तो रहो मैं नशे में हूँ

bhaagi namaaz-e-jum’a to jaati nahin hai kuchh
chalta hoon main bhi tuk to raho main nashe mein hoon

नाज़ुक-मिज़ाज आप क़यामत हैं ‘मीर’ जी
ज्यूँ शीशा मेरे मुँह न लगो मैं नशे में हूँ

naazuk-mizaaj aap qayaamat hain ‘Meer’ji
jyoon sheesha mere munh na lago main nashe mein hoon

Posted: 13-Feb-2021

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s