दूर से दूर तलक एक भी दरख़्त न था
तुम्हारे घर का सफ़र इस क़दर तो सख़्त न था
door se door talak ek bhi darakht na tha
tumhaare ghar ka safar is qadar to sakht na tha
–
इतने मसरूफ़ थे हम जाने की तैयारी में
खड़े थे तुम और तुम्हें देखने का वक़्त न था
itne masroof the hum jaane ki taiyaari mein
khade the tum aur tumhen dekhne ka vaqt na tha
–
मैं जिसकी खोज में ख़ुद खो गया था मेले में
कहीं वो मेरा ही अहसास तो कमबख़्त न था
main jiski khoj mein khud kho gaya tha mele mein
kaheen vo mera hi ehsaas to kambakht na tha
–
जो ज़ुल्म सहके भी चुप रह गया न खौल उठा
वो और कुछ हो मगर आदमी का रक्त न था
jo zulm sahke bhi chup rah gaya na khaul utha
vo aur kuchh ho magar aadami ka rakt na tha
–
उन्हीं फ़क़ीरों ने इतिहास बनाया है यहाँ
जिनपे इतिहास को लिखने के लिए वक़्त न था
unheen faqeeron ne itihaas banaaya hai yahaan
jinpe itihaas ko likhne ke liye vaqt na tha
–
शराब करके पिया उसने ज़हर जीवनभर
हमारे शहर में ‘नीरज’-सा कोई मस्त न था
sharaab karke piya usne zehar jeevanbhar
hamaare shehar mein ‘Neeraj’-sa koyi mast na tha
—
Posted: 10-Dec-2020