तारिक़ बदायूँनी | Tariq Badayuni — एक ना एक शमआ अँधेरे में जलाए रखिये | ek na ek sham’a andhere mein jalaaye rakhiye

एक ना एक शमआ अँधेरे में जलाए रखिये
सुब्ह होने को है माहौल बनाए रखिये

ek na ek sham’a andhere mein jalaaye rakhiye
subh hone ko hai maahaul banaaye rakhiye

जिनके हाथों से हमें ज़ख़्म-ए-निहाँ पहुँचे हैं
वो भी कहते हैं कि ज़ख़्मों को छुपाए रखिये

jinke haathon se humein zakhm-e-nihaan pahunche hain
vo bhi kehte hain ke zakhmon ko chhupaaye rakhiye

कौन जाने कि वो किस राहगुज़र से गुज़रें
हर गुज़रगाह को फूलों से सजाए रखिये

kaun jaane ki vo kis raahguzar se guzrein
har guzaragaah ko phoolon se sajaaye rakhiye

दामन-ए-यार की ज़ीनत न बने हर आँसू
अपनी पलकों के लिये कुछ तो बचाए रखिये

daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuchh to bachaaye rakhiye

Posted: 18-Dec-2020