Translation: Turn On
सर में सौदा भी नहीं दिल में तमन्ना भी नहीं
लेकिन इस तर्क-ए-मोहब्बत का भरोसा भी नहीं
sar mein sauda bhi naheen dil mein tamanna bhi naheen
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi naheen
–
दिल की गिनती न यगानों में न बेगानों में
लेकिन उस जल्वागह-ए-नाज़ से उठता भी नहीं
dil ki ginti na yagaanon mein na begaanon mein
lekin us jalvaagah-e-naaz se uthta bhi naheen
–
मेहरबानी को मोहब्बत नहीं कहते ऐ दोस्त
आह अब मुझसे तेरी रंजिश-ए-बेजा भी नहीं
meherbaani ko mohabbat naheen kehte ai dost
aah ab mujhse teri ranjish-e-beja bhi naheen
–
एक मुद्दत से तेरी याद भी आई न हमें
और हम भूल गए हों तुझे ऐसा भी नहीं
ek muddat se teri yaad bhi aayi na hamein
aur hum bhool gaye hon tujhe aisa bhi naheen
–
आज ग़फ़लत भी उन आँखों में है पहले-से सिवा
आज ही ख़ातिर-ए-बीमार शकेबा भी नहीं
aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pehle-se siva
aaj hi khaatir-e-beemaar shakeba bhi naheen
–
बात ये है कि सुकून-ए-दिल-ए-वहशी का मक़ाम
कुंज-ए-ज़िंदाँ भी नहीं वुसअत-ए-सहरा भी नहीं
baat ye hai ki sukoon-e-dil-e-vahshi ka maqaam
kunj-e-zindaan bhi naheen vus’at-e-sehra bhi naheen
–
आह ये मजमा-ए-अहबाब ये बज़्म-ए-ख़ामोश
आज महफ़िल में ‘फ़िराक़’-ए-सुख़न-आरा भी नहीं
aah ye majma-e-ahbaab ye bazm-e-khaamosh
aaj mehfil mein ‘Firaq’-e-sukhan’ara bhi naheen
–
यूँ तो हंगामे उठाते नहीं दीवाना-ए-इश्क़
मगर ऐ दोस्त कुछ ऐसों का ठिकाना भी नहीं
yoon to hangaame uthaate naheen deevaana-e-ishq
magar ai dost kuchh aison ka thikaana bhi naheen
–
फ़ितरत-ए-हुस्न तो मालूम है तुझको हमदम
चारा ही क्या है बजुज़ सब्र सो होता भी नहीं
fitrat-e-husn to maaloom hai tujhko humdum
chaara hi kya hai ba’juz sabr so hota bhi naheen
–
मुँह से हम अपने बुरा तो नहीं कहते कि ‘फ़िराक़’
है तेरा दोस्त मगर आदमी अच्छा भी नहीं
munh se hum apne bura to naheen kehte ki ‘Firaq’
hai tera dost magar aadmi achchha bhi naheen
—
Posted: 14-Mar-2021