अकबर अलाहाबादी | Akbar Allahabadi — दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ | duniya mein hoon duniya ka talabgaar naheen hoon

Translation: Turn On

दुनिया में हूँ दुनिया का तलबगार नहीं हूँ
बाज़ार से गुज़रा हूँ ख़रीदार नहीं हूँ

duniya mein hoon duniya ka talabgaar naheen hoon
baazaar se guzra hoon khareedaar naheen hoon

ज़िंदा हूँ मगर ज़ीस्त की लज़्ज़त नहीं बाक़ी
हरचंद कि हूँ होश में हुशियार नहीं हूँ

zinda hoon magar zeest ki lazzat naheen baaqi
har’chand ki hoon hosh mein hushiyaar naheen hoon

इस ख़ाना-ए-हस्ती से गुज़र जाऊँगा बेलौस
साया हूँ फ़क़त नक़्श-ब-दीवार नहीं हूँ

is khaana-e-hasti se guzar jaunga be’laus
saaya hoon faqat naqsh-ba-deevar naheen hoon

अफ़्सुर्दा हूँ इबरत से दवा की नहीं हाजत
ग़म का मुझे ये ज़ोफ़ है बीमार नहीं हूँ

afsurda hoon ibrat se dava ki naheen haajat
gham ka mujhe ye zof hai beemar naheen hoon

वो गुल हूँ ख़िज़ाँ ने जिसे बर्बाद किया है
उलझूँ किसी दामन से मैं वो ख़ार नहीं हूँ

vo gul hoon khizaan ne jise barbaad kiya hai
uljhoon kisi daaman se main vo khaar naheen hoon

अफ़्सुर्दगी-ओ-ज़ोफ़ की कुछ हद नहीं ‘अकबर’
काफ़िर के मुक़ाबिल में भी दीनदार नहीं हूँ

afsurdagi-o-zof ki kuchh had naheen ‘Akbar’
kaafir ke muqaabil mein bhi deen’daar naheen hoon

Posted: 11-Apr-2021

Leave a comment