साग़र निज़ामी | Saghar Nizami — हैरत से तक रहा है जहान-ए-वफ़ा मुझे | hairat se tak raha hai jahaan-e-vafa mujhe

हैरत से तक रहा है जहान-ए-वफ़ा मुझे
तुमने बना दिया है मोहब्बत में क्या मुझे

hairat se tak raha hai jahaan-e-vafa mujhe
tumne bana diya hai mohabbat mein kya mujhe

हर मंज़िल-ए-हयात से गुम कर गया मुझे
मुड़-मुड़के राह में वो तेरा देखना मुझे

har manzil-e-hayat se gum kar gaya mujhe
mud-mudke raah mein vo tera dekhna mujhe

कैफ़-ए-ख़ुदी ने मौज को कश्ती बना दिया
होश-ए-ख़ुदा है अब न ग़म-ए-नाख़ुदा मुझे

kaif-e-khudi ne mauj ko kashti bana diya
hosh-e-khuda hai ab na gham-e-naakhuda mujhe

साक़ी बने हुए हैं वो ‘साग़र’ शब-ए-विसाल
इस वक़्त कोई मेरी क़सम देखता मुझे

saaqi bane huye hain vo ‘Saghar’ shab-e-visaal
is vaqt koyi meri qasam dekhta mujhe

Posted: 10-Dec-2020