कभी नेकी भी उसके जी में गर आ जाए है मुझसे
जफ़ाएँ करके अपनी याद शरमा जाए है मुझसे
kabhi neki bhi uske ji mein gar aa jaaye hai mujhse
jafaayen karke apni yaad sharma jaaye hai mujhse
–
ख़ुदाया जज़्बा-ए-दिल की मगर तासीर उल्टी है
कि जितना खींचता हूँ और खिंचता जाए है मुझसे
khudaaya jazba-e-dil ki magar taaseer ulti hai
ki jitna kheenchta hoon aur khinchta jaaye hai mujhse
–
वो बदख़ू और मेरी दास्तान-ए-इश्क़ तूलानी
इबारत मुख़्तसर क़ासिद भी घबरा जाए है मुझसे
wo badkhu aur meri daastaan-e-ishq toolaani
ibaarat mukhtasar qaasid bhi ghabra jaaye hai mujhse
–
उधर वो बदगुमानी है इधर ये नातवानी है
न पूछा जाए है उससे न बोला जाए है मुझसे
udhar vo badgumaani hai idhar ye naatavaani hai
na poochha jaaye hai usase na bola jaaye hai mujhse
–
सँभलने दे मुझे ऐ नाउम्मीदी क्या क़यामत है
कि दामान-ए-ख़याल-ए-यार छूटा जाए है मुझसे
sambhalne de mujhe ae naaummeedi kya qayaamat hai
ki daamaan-e-khayal-e-yaar chhoota jaaye hai mujhse
–
तकल्लुफ़ बरतरफ़ नज़्ज़ारगी में भी सही लेकिन
वो देखा जाए कब ये ज़ुल्म देखा जाए है मुझसे
takalluf bartaraf nazzaargi mein bhi sahi lekin
vo dekha jaaye kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse
–
हुए हैं पाँव ही पहले नबर्द-ए-इश्क़ में ज़ख़्मी
न भागा जाए है मुझसे न ठहरा जाए है मुझसे
huye hain paanv hi pehle nabard-e-ishq mein zakhmi
na bhaaga jaaye hai mujhse na thehra jaaye hai mujhse
–
क़यामत है कि होवे मुद्दई का हमसफ़र ‘ग़ालिब’
वो काफ़िर जो ख़ुदा को भी न सौंपा जाए है मुझसे
qayaamat hai ki hove muddai ka humsafar ‘Ghalib’
vo kaafir jo khuda ko bhi na saunpa jaaye hai mujhse
—
Posted: 23-Jan-2021