कब याद में तेरा साथ नहीं कब हाथ में तेरा हाथ नहीं
सद-शुक्र कि अपनी रातों में अब हिज्र की कोई रात नहीं
kab yaad mein tera saath naheen kab haath mein tera haath naheen
sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koyi raat naheen
–
मुश्किल हैं अगर हालात वहाँ दिल बेच आएँ जाँ दे आएँ
दिलवालो कूचा-ए-जानाँ में क्या ऐसे भी हालात नहीं
mushkil hain agar haalat vahaan dil bech aayein jaan de aayein
dilvaalo koocha-e-jaanaan mein kya aise bhi haalaat naheen
–
जिस धज से कोई मक़्तल में गया वो शान सलामत रहती है
ये जान तो आनी-जानी है इस जाँ की तो कोई बात नहीं
jis dhaj se koyi maqtal mein gaya vo shaan salaamat rehti hai
ye jaan to aani-jaani hai is jaan ki to koyi baat naheen
–
मैदान-ए-वफ़ा दरबार नहीं याँ नाम-ओ-नसब की पूछ कहाँ
आशिक़ तो किसी का नाम नहीं कुछ इश्क़ किसी की ज़ात नहीं
maidaan-e-vafa darbaar naheen yaan naam-o-nasab ki poochh kahan
aashiq to kisi ka naam naheen kuchh ishq kisi ki zaat naheen
–
गर बाज़ी इश्क़ की बाज़ी है जो चाहो लगा दो डर कैसा
गर जीत गए तो क्या कहना हारे भी तो बाज़ी मात नहीं
gar baazi ishq ki baazi hai jo chaaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kya kehna haare bhi to baazi maat naheen
—
Posted: 06-Feb-2021