है बस-कि हर एक उनके इशारे में निशाँ और
करते हैं मोहब्बत तो गुज़रता है गुमाँ और
hai bas-ki har ek unke ishaare mein nishaan aur
karte hain mohabbat to guzarta hai gumaan aur
–
यारब वो न समझे हैं न समझेंगे मेरी बात
दे और दिल उनको जो न दे मुझको ज़बाँ और
yaarab vo na samjhe hain na samjhenge meri baat
de aur dil unko jo na de mujhko zabaan aur
–
तुम शहर में हो तो हमें क्या ग़म जब उठेंगे
ले आएँगे बाज़ार से जाकर दिल-ओ-जाँ और
tum shehar mein ho to hamen kya gham jab uthenge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaan aur
–
लेता, न अगर दिल तुम्हें देता, कोई दम चैन
करता, जो न मरता, कोई दिन आह-ओ-फ़ुग़ाँ और
leta, na agar dil tumhein deta, koi dam chain
karta, jo na marta, koyi din aah-o-fughaan aur
–
पाते नहीं जब राह तो चढ़ जाते हैं नाले
रुकती है मेरी तबअ तो होती है रवाँ और
paate nahin jab raah to chadh jaate hain naale
rukti hai meri tab’a to hoti hai ravaan aur
–
हैं और भी दुनिया में सुख़नवर बहुत अच्छे
कहते हैं कि ‘ग़ालिब’ का है अंदाज़-ए-बयाँ और
hain aur bhi duniya mein sukhanvar bahut achchhe
kehte hain ki ‘Ghalib’ ka hai andaaz-e-bayaan aur
—
Posted: 11-Dec-2020