अली अहमद जलीली | Ali Ahmed Jalili — अब छलकते हुए साग़र नहीं देखे जाते | ab chhalakte huye saaghar naheen dekhe jaate

Translation: Turn On

अब छलकते हुए साग़र नहीं देखे जाते
तौबा के बाद ये मंज़र नहीं देखे जाते

ab chhalakte huye saaghar naheen dekhe jaate
tauba ke baad ye manzar naheen dekhe jaate

मस्त करके मुझे औरों को लगा मुँह साक़ी
ये करम होश में रहकर नहीं देखे जाते

mast karke mujhe auron ko laga munh saaqi
ye karam hosh mein rehkar naheen dekhe jaate

साथ हरएक को इस राह में चलना होगा
इश्क़ में रहज़न-ओ-रहबर नहीं देखे जाते

saath har’ek ko is raah mein chalna hoga
ishq mein rehzan-o-rehbar naheen dekhe jaate

हमने देखा है ज़माने का बदलना लेकिन
उनके बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते

humne dekha hai zamaane ka badalna lekin
unke badle huye tevar naheen dekhe jaate

Posted: 20-Mar-2021

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s